Thursday, February 22, 2007

hasrat

ayee mein tere dwar pe
mangoon mein man ki chaah
too daras de badi mushkil se
aazmaye mera fanaa
kahe too maang magar soch kar
mil na jaye kaheen
too anjaan hai, nadaan hai
tujhe koi khabar nahin
par dil ada hai jis aas par
kabhi bhool na paye
ab to intazar hai
apnee sazaa mil jaaye

anant

ishq ki na ibtada na ant meri jaan
saans ki tarah yeh hai anant meri jaan

ekaank

neend main ghabraoon main
aakhen kholoon
aur
tujhe na paaon main?

ehsan

tere ek pal ke dhadkan se
chalta hai poora jeevan mera

ek pal main ek aur

har muhoort main hota hai
ek pal khamoshi ka
har preet ke yauvan pe
chadhta hai rang madhoshi ka

shukra

shukra hai bhagwan ka
bhagwan to hai
varna kisko deti dosh
kisse hoti hairan mein

shaq

too hai kahin
ismain koyi shaq nahi
varna saanson ko chalna ka
abtak koi haq nahi

guzra pal

gira de chilman too
mere jalte haal pe
varna kya milega gar dekhoon
mudhkar apne guzre saal pe

tery inayat par...

yoohi guzar gayi
kab aayee khabar nahi
saanson ne di dastak kuchh saal
ab saunp diya tere inayat par
apnaa yeh haal

humdum

anokha sathi tu
par tujhe kaise manoo humdum
too humdam nahi
har dam mera
mujh pe tera udhar hai

agar...

baje jeevan ke har pal yoon
shor macha gaye
jhanjhanaya maatha yoon
paon dagmaga gaye
hathon ne tere thama mujhe
saans main ayee saans
ab dar hain judayi ka
kahin toot na jaye aas

chaahat

ae premi tere prem main
aisi rahat mili
tujhe dekhkar saans na aye
par us saans ki chahat nahi

immerse

tere ishq main kis qadar dooboon
ki ubharne ki khwahish na rahe
teri madhoshi main kis qadar rangoon
ke rang uttarne ki gunjaish na rahe

swirling dervesh

thirkan unke pao ki
mere man ko nacha gayi
masti unke ishq ki
mere dil ko jala gayi
ae dervesh teri deewangi
meri nazrein jhuka gayi
tere junoon se chhuyee main
mein to puri rang gayi