Wednesday, June 10, 2020

Badhit

Samay ke pher hai, phirega phir se
Ladkhadaya hai insan, sambhlega phir se
Vakht ka takaza hai, sada ke liye kuchh nahi
Soch thodi dhundhlayi thi, ubhrega phir se

Samay ki neeti hai, tumhe aur mujhe parakhne ki,
Kitni shakti hai vishwas mein, usko tatolne ki
Pair jama khade raho vahi par
Aadat hai, himmat ke aage, neeti ki badalne ki

Saath apno ka dena hai,
Saath dekar auron ko apna banana hai
Apne pairon ke chalan ki seema ghataanee hai
Aur apne duniye ke dayre ko badhana hai

Girke uthenge hum, tabhi insaan hain
Auron ko uthayeinge, tabhi insaan hain
Kabhi kabhi ghabrayein, yeh laazmi hai
Ghabrake phir sambhal jaayein, tabhi insaan hain

Naya kal banayenge,
Dilon mein nahi, shareerik doori badhayeinge
Dhoondhenge kaam karne ka naya tareeka
Swavlabhita badhayenge

Kal jo thha, voh aaj nahi
Aaj bhi kal mein badlega
Badlaav hi to neeyam hai
Nahi to naya kaise ubhrega

Yeh naya zmana saamne hai
Kal aur bhi achha pal aaye
Bas dekhna hai humare dilon mein
Date rehne ki kitni dridta hai